Saturday, March 26, 2011

india ki andhi..

dekho duniya dekho aa gaya tufan
australlia uda ab udega pakistan
nikle jab to mila tha bangla
unko unke dharti me kuchla
nikal dete hum england ki hawa
agar kam na aati unko strauss ki dawa
ireland ki aukat he kya jo takrata
aisi tufan se netehrland kya najre milata
rukh moda thoda to ho gai galti
african se kha gaye palti
indies ne muh ki khai
humne unhe dhul chatai

is andhi me hai jit ka khanjar
aa gaya takrane australliai punter
india ki andhi me ho gaya puncture
rukh moda hai india ko fir se joda hai
agey tufan to piche se arbo ki abadi hai
sun lo pakistan takraya jo to tumhari barbadi hai
ye tsunami na sahi ye india ki andhi hai
khelne aye ho to khel k jao
cup chahiye to chai ki le jao
world cup to hamara ho chuka hai
hindustan jashn me kho chuka hai
.....

---,,,kumar sandeep patel,,,---

No comments:

Post a Comment