Wednesday, March 7, 2012

Gustakhhi maaf!! Bura Na Maano Holi Hai

oriya bole doljata to dol jatra bole bengali
bol bol me kya rakhaa ..hoti to hai ye bus holi
rang tum lagao rang hum lagaye..
khusio sang sab holi manaye..
aao chal phhagua gaye...aur khele kurta fad holi
rango me rang ja bhar le rango se apni jhholi
laga k rang bol bura na maan hai holi

mathhura me gopia sang krishna khele holi
radhha to bhag jati thi dekh k krishna ki toli
apne nandlal krishn to thhee satir
pakad k radha ko udel di rangoli
palat k radhha boli ..
besaram kanhe..bhingo di tune meri choli
masum kanhe ne banai surat bhholi
bole bura na maan raadhha hai ye holi

fagun ka mahina ...thhoda sambhal k peena
fagun ka mahina thhod sambhaaaaal k peena
behak na jae kahi avi to bohat hai jeena
daba daba k puwa khhao..
iska galat matlab na lagao
daba dabba k sab puwa khao
mil k sab jashn manao....
aaj yaaro khhub hilao ..aaj yaaro khhub hilao
dosto galat matlab na lagao
aaj yaaro khub hilao masti me pura badan ghhumao
sabdo k raste ye sabdo ki sabdholi hai
bura na mano holi hai

ghar me dubakne wale thoda bahar nikal lo
pichkari ki dhhar gulal ki bauchhar dekh lo
ye to bahane hai khusia batne k
is bahane logo ka pyar dekh lo.
ek duje ko hum rang lagaye..jag sara rangmay ho jae
rango k dhhar me sandeep aur behek na jae
isse pehle meri gustakhhi maf ho jae
labzo ne to avi bus thodi masti ki dwar khholi hai
bura na maano holi hai!!!!

No comments:

Post a Comment