Aye is duniya ko banane wale
kaisi ye teri rachna hai
khuli ankho se dikhata jhalak manjil ki
band ankho me wahi ek sapna hai
de dia ek sabd pyar yaha
yaha pyar me to bus dil ka rona hai
maut ko gale lagakar ab to chain se sona hai
hasi ati hai teri is duniya ko dekh k
jaha ek samaj k samne pyar bauna hai
aye is duniya ko banane waleteri duniya me kya yahi hona hai
tune badla kal ko tune badla aaj ko
kya nahi badal sakta is samaj ko
jo pyar ko paap samajhta hai
nahi dikta use tadap is dil ki
halat banakar hasta hai
aye murliwale pyar to tune v kia tha
aaj jaisi halat ko kya tune jia tha
hai jo ye misaley mohabbat ki inka yaha kya kam tha
paap hai pyar yaha to tajmahal banwane ka kya kam tha
hum to teri kathputalia hai
nacha jaise nachana hai
aye is duniya ko banane wale kya khub ki teri rachna hai
dil ki dhadkan me v milawat hai
pyar jo kar lia to maut ki aahat hai
tod dia jata hai dil yaha
jisme kisi ki chahat hai
bina dil k kaha ab rahat hai
dard ye dil ka nahi ab sahna hai
teri is fareb ki duniya me hume nahi rahna hai
palat panne akhbaro ki
har roj yahi hona hai
premi jode ne khudkhusi ki
har akhbar ka kona hai
nafrat se bhari is duniya me amrit me v zahar he pina hai
teri banai duniya me hume nahi jina hai
kuch nahi kar sakta tu patti jo ankho pe pehna hai
aye is duniya ko banane wale teri duniya ka kya khub kehna hai
..............****KUMAR SANDEEP PATEL****..............
nice dude...keep it
ReplyDelete