Thursday, March 7, 2013

Naari, Hum sarminda hai

Kabhi Durga, Kabhi Rani jhhansi ki, kabhi tum maa kaali hai
Kabhi Palan karta, Kabhi dukh harta, kabhi tu duniya ki rakhwali hai
Duniya me laaya tune, Duniya ko basaya tune
Roop kitne, wajood kitne, naari teri kurbaniya tamaam hai
Azadi ki ladayi me, everest ki chadhhayi me tu, tere jazbo ko salam hai
Tere risto me mithhas hai, Tu hai to aaj hum zinda hai
Kuch darindo ki wajah se aaj hum sarminda hai

Ishwar na dekha, tujhko dekha, Maa tu he bhhagwan hai
Bachpan se budhapey tak, maa tu hai to jahan hai
mehbub kisi ki, behen kisi ki, tujme kisi ki patni hai
Roop kitne, wajood kitne, tu risto ki janni hai
Raksha bandhan, Teej, karwa chauth to kabhi bhhaiya dooj
Tere in vrato ki maaya se hum zinda hai
Kuch darindo ki wajah se aaj hum sarminda hai

Tu khhud pahuch gayi chand pe, hum tujhe kya chand tarey laatey
Wardi pehen k khhud aa gayi, tujhko kaanun hum kya sikhhatey
Mother teresa sa karuna tujhme, kiran Bedi, tujhme Mahan Megha Patekar hai
Pepsico ke CEO tujhme, Indira Gandhi, Tujhme Bharat ratna Lata mangeskar hai
Jaha jaati khhusia lati, tujhse roshanmay sansaar hai
Kisi ka sapna hai, kavi ki kalpana hai, tujhse ehsaas zinda hai
Kuch darindo ki wajah se aaj hum sarminda hai

:-Kumar Sandeep Patel

Monday, March 4, 2013

Kuch u Gujra thha bachpan mera

Dekhte Dekhte ye waqt nikalta gaya
bachpan ka suraj samay k sath dhhalta gaya
kitne hassen thhe wo school k pal, har ek dil ka sachha thha
sochta hu aaj ki jawani se wo bachpan achha tha
kuch u gujra tha bachpan mera..
Chanchal hawa si saam thi meri madmast jhhumta tha savera..
Kuch u gujra tha bachpan mera.

masti har pal har lamha kitna sukun thha
ladke ladkio me ek dusre se agey nikalne ka junun thha
blackboard pe filmo k shortname likhha karte thhe
badmashio me sabse agey bus chehre se masum dikha karte thhe
ladkhara k girna lazmi thha lekin har kadam pe mamta ka thha pehra
kuch u gujra thha bachpan mera
Chanchal hawa si saam thi meri madmast jhhumta tha savera..
Kuch u gujra tha bachpan mera.

wrapper k upar se toffi katna ek toffi ko do me batna
yaad hai wo exam k pehle ratti lagatey der raat tak jagna
pencil se likhhte aur scented pen se likhhne ki aas hoti thhi
na nahaney ki thhi tension n khhane ki jab maa pas hoti thhi
ramnagar sa kasbey ka friends academy school thha mera
ye wo jagah thhi jaha guzra thha bachpan mera
Chanchal hawa si saam thi meri madmast jhhumta tha savera..
Kuch u gujra tha bachpan mera.

wo khhubsurat lamhe samay ki kadwahat me ghhul gaye
kuch dost bus tasviro me aur kuch dost bankar bhhul gaye
kuch doctor kuch engineer kuch manager ban kar nikal gaye
dosti risto ka gathh nahi hota isliye hatho se hath fisal gaye
ludo, saap sidhi ka khel ab kaha in hatho me
sabdo me he inhe yaad kar lia waise kya rakha hai baton me
har ek dil ka sachha thha,kitna masoom thha chehra
kuch u gujra tha bachpan mera.
Chanchal hawa si saam thi meri madmast jhhumta tha savera..
Kuch u gujra tha bachpan mera.
:-Kumar Sandeep Patel