Monday, December 23, 2013

Saadi ya Sauda.....

Insaan aur saitan me fark kaha hai...
Hai ye dhharti agar swarg to narak kaha hai...
waise to hai bohat batein....
Pujtey hai..sarahatey hai jis devi ko..
Kya sach me uska naari rup yaha hai

Inki v kya khub kismat hoti hai...
Har ristey nibha kar v roti hai..
Na janey kyo inhe bazar ka saman samjha jata hai
Sadi to kudrat ka banaya rasham hai..
Fir 10 baar saja kar kyo 10 ladko k samne bithaya jata hai

Kami nahi hai unlogo ki jo baat baat pe dharam granth ki duhayi dete hai...
Ye wahi log hai jo saadi me lakho lakh ki saudebaji lete hai aur dete hai
Bewajah he badnam karte ho ramayan ko geeta ko.
Shawaymvar me jit kar le aye the bhagwan sri Ram Sita ko

Hod machi hai lene ki aur dene ki insaan me..
jikra nahi hai dahej ka Na Geeta me na Kuran me..
naukri ho sarkari to dahej me taaw hoga
Doctor ho engineer ho ladka to asman pe bhhaw hoga
Ajib log hai, paise ko khhusia samajhthe hai
Agni k samne sat phero ki saudebaji ko saadi samajjte hai

:-Kumar Sandeep Patel

Sunday, November 10, 2013

Atank ek kalank

Hum sochte the, Bihar me kabhi koi dhamaka ho nahi sakta...
Kisi Bahari ki wajah se Bihar ka baal v banka ho nahi sakta...
Hum Galatfahmi me the, Patna me aaj huye dhhmakey humey ye bata gaye..
Mahan desh ki mahan bhhumi pe ek baar fir insaniyat ko dhhatta dikha gaye..


Aman santi ki duway ek baar fir nakam gayi...
bewajah he logo ki jaan gayi..
Insaniyat k dushmano ki ankhe padhna chahta hu..
Do batein insaniyat ki unse kehna chahta hu..
Fark samjho khhun aur paani me..
Behta hai jo wo khun hai kisi ka, dard aur chikh he hota hai tumhare kartuto ki kahani me..
Agar haiwan ho tum, fir insano ki duniya me kaha se aa gaye..
Ek baar fir insaniyat ko dhatta dikha gaye.


Ye jo tumhare patakhhe hai
Aksar tyoharo me hum v fodte hai..
Apni harkato se to tum is desh ko todne ki napak koaia karte ho..
Jo shikar ho jate hai tumharey, Wo to fir v insaniyat ki maut marte hai..
Bade sharm ki baat hai, kuttey na hote huye v tum to kutte ki he maut marte ho..
Dekha nahi tumne,Dhamako k baad v lakho maidan me apna hosla bata gaya..
Ek jut ho kar hindustan ek baar fir duniya ko insaniyat ka aaina dikha gaya

Tuesday, October 22, 2013

Wo bus ek hai..

wo ek he hai jiski ye duniya hai..
Hum sab ka malik v ek hai..
Bewajah he ladte hai sab majhab k naam pe..
saant pad jaega ye sarir ,jana sabko hai ek he mukam pe..
us mukam ko jannat kehte hai
Raam rahim sab wahi to rehte hai..
Bewajah he hum ladte hai.


Nadio ka pani v ek hai..bus nadio ka naam anek hai..
Rango ka he fark hota hai warna mitti v ek hai..
Bada khub dekha maine maikhhane me..
Kya hindu kya musalman,sab sath baith kar he to pitey hai..
Aisa lagta hai jaise ram rahim k adarsh ko bus wo he jitey hai..
Mandir masjid me sab santi aur barkat ke baat he to karte hai..
Majab k naam pe sab bewajah he ladte hai.


Hai jawab to de koi..
Suraj to ek he dekha maine..
Hindu musalman ka suraj kaha hai..
Khun ka rang v sabka ek he hai.. Kiski rago me dusra khun baha hai..
Tujhe chhune wali hawa v ek hai..
Tarakki v usi se tabahi v wahi lata hai..
Bewajah he insan majhab k naam pe lahu bahata hai

Wednesday, October 9, 2013

Nanhi si chidiya, Fauladi Jazba

Koso Kos me faila dariya..
Umadti ghhumadti lahrey..
Lahro pe dekha udte panchhi ko..
Sochne laga dekh k uske pankho ko..
Nanhi si pankh aur jazba itna hai..
Bin rukey dariya par kar jane jitna hai

Yaad aya, bachpan me gurdel se mara karte thhe..
panchhi to chot kha kar v ud jaya karte thhe..
Chidio ka jazba aksar hume aaina dikha jaati hai..
Har roj subah chahak kar humey jaga jaati hai..
Ye panchhi to insaani jarurato ka shikar hai..
na janey kaha ghhat lagaye baitha shikari karne ko shikar hai..

Dekha maine inko udne se pehle..
Bin rukey manzil tak pahuchne ka sankalp lia tha inhone..
unke fauladi hosle ko salam karta hai..
Aisi nayab chiz banane wale us kudrat ko pranam karta hu.


:-Kumar Sandeep Patel

Sunday, October 6, 2013

Bade Kasmakash me hum hai

Zindagi ki pahelio me uljhe huye hum hai..
U to chamak hai ankho me, fir v ankhe num hai..
Berang kismat ne kab ka jakda hua hai..
hosle todne k liye ye kya kam hai..
Bade kasmakash me hum hai

Sabse pehle sabse aagey jana chahta tha
Ek akela he nikla tha, Ek akela he reh gaya..
Kismat ko kya kosta, kareeb tha jo wo v sath Chhor gaya
pankh nahi chahiye tha udne k liye..
Ab to dagmagatey hoslo me v kaha dum hai..
Badeu kashmakash me hum hai

Mere banaye wasool ek k baad ke tut raha hai..
Ab to baari baari sabka chhut raha hai..
kash apne ehsaas ko labzo me utar pata.
Mai galat nahi hu ye sabko bata pata..
Fikey pad gaye hai sabd v mere..
Ab in sabdo me v kaha dum hai..
Bade kasmakash me hum hai


Kumar Sandeep Patel

Bade Kasmakash me hum hai..

Zindagi ki pahelio me uljhe huye hum hai..
U to chamak hai ankho me, fir v ankhe num hai..
Berang kismat ne kab ka jakda hua hai..
hosle todne k liye ye kya kam hai..
Bade kasmakash me hum hai

Sabse pehle sabse aagey jana chahta tha
Ek akela he nikla tha, Ek akela he reh gaya..
Kismat ko kya kosta, kareeb tha jo wo v sath Chhor gaya
pankh nahi chahiye tha udne k liye..
Ab to dagmagatey hoslo me v kaha dum hai..
Badeu kashmakash me hum hai

Mere banaye wasool ek k baad ke tut raha hai..
Ab to baari baari sabka chhut raha hai..
kash apne ehsaas ko labzo me utar pata.
Mai galat nahi hu ye sabko bata pata..
Fikey pad gaye hai sabd v mere..
Ab in sabdo me v kaha dum hai..
Bade kasmakash me hum hai


Kumar Sandeep Patel

Sunday, August 4, 2013

Tum na Hote jo Tum na hotey


Pocket me kadki hoti ..
Koso dur ladki hoti
Tum na hote jo tum na hote

Der raat ka jaagna na hota...
Subah college k liye bhhagna na hota...
Tum na hote jo tum na hote

Masti k din na hote..
Idiots ki harkato wale sin na hote..
Tum na hote jo tum na hote

Botle na khhulti..botle na tutati..
Bus ek dil hai jo tutta..
Tum na hote jo tum na hote

Sarojni nagar market ka chakkar na hota..
Bhhed me ladkio se takkar na hota..
Tum na hote jo tum na hote

Holi ka hurdang na hota..
Diwali k patakhe na hote..
Naye saal ka umang na hota
Tum na hote jo tum na hote

Fb, chatting whatsapp ka option na hota..
Comment,like photo tag caption na hota..
Tum na hote jo tum na hote

hasna na hota, hasana na hota..
handshake aur galey lagana na hota
Tum na hote jo tum na hote

Building me halle na hote..
Cigreet k chhallee na hote..
Tum na hote jo tum na hote

Jhhuta he sahi lekin taaliya bajana na hota...
Ek dusre ka hosla badhana na hota
tum na hote jo tum na hote

Zindagi asaan kabhi na thi..
Fir v u muskuratey hye guzarna na hota
Tum na hote jo tum na hote

:-Kumar Sandeep Patel

Thursday, July 18, 2013

Ek Armaan Ko Jeena Chahta hu

Ek armaan ko jeena chahta hu
Muskuraney se pehle thhoda ansu gum ka pina chahta hu
Ek armaan ko jeena chahta hu
Kisi ki chahat ki aahat dil ko lagey
usse pehle tutey dil ki dararo ko seena chahta hu
Ek armaan ko jeena chahta hu

Khawab paley in ankho me
Isse pehle palko ko bhhingona chahta hu
Ek armaan ko jeena chahta hu
kisi ke jakhmo pe marham lagana chahta hu
isse pehle duniya ke diye jakhmo ko sekna chahta hu
Ek armaan ko jeena chahta hu

Chhotey se ashiyane se nikal mahlo me rehna chahta hu
isse pehle logo ke dil me rehna chahta hu
Ek armaan ko jeena chahta hu
Chhoti si duniya ka wasinda hu, is duniya se nikalna chahta hu
isse pehle is duniya ko jannat banana chahta hu
Ek armaan ko jeena chahta hu

Sehar ki aapa dhhapi me bohat bhhag lia
Is bhhaga dauri se nikalna chahta hu
isse pehle apne ummido ko udan dena chahta hu
Ek armaan ko jeena chahta hu
Thhokrey to bohat khhaye hai, ab sambhhalna chahta hu
Uthne sambhhalne se pehle ek akhiri baar girna chahta hu
Ek armaan ko jeena chahta hu

Kumar sandeep patel

Thursday, March 7, 2013

Naari, Hum sarminda hai

Kabhi Durga, Kabhi Rani jhhansi ki, kabhi tum maa kaali hai
Kabhi Palan karta, Kabhi dukh harta, kabhi tu duniya ki rakhwali hai
Duniya me laaya tune, Duniya ko basaya tune
Roop kitne, wajood kitne, naari teri kurbaniya tamaam hai
Azadi ki ladayi me, everest ki chadhhayi me tu, tere jazbo ko salam hai
Tere risto me mithhas hai, Tu hai to aaj hum zinda hai
Kuch darindo ki wajah se aaj hum sarminda hai

Ishwar na dekha, tujhko dekha, Maa tu he bhhagwan hai
Bachpan se budhapey tak, maa tu hai to jahan hai
mehbub kisi ki, behen kisi ki, tujme kisi ki patni hai
Roop kitne, wajood kitne, tu risto ki janni hai
Raksha bandhan, Teej, karwa chauth to kabhi bhhaiya dooj
Tere in vrato ki maaya se hum zinda hai
Kuch darindo ki wajah se aaj hum sarminda hai

Tu khhud pahuch gayi chand pe, hum tujhe kya chand tarey laatey
Wardi pehen k khhud aa gayi, tujhko kaanun hum kya sikhhatey
Mother teresa sa karuna tujhme, kiran Bedi, tujhme Mahan Megha Patekar hai
Pepsico ke CEO tujhme, Indira Gandhi, Tujhme Bharat ratna Lata mangeskar hai
Jaha jaati khhusia lati, tujhse roshanmay sansaar hai
Kisi ka sapna hai, kavi ki kalpana hai, tujhse ehsaas zinda hai
Kuch darindo ki wajah se aaj hum sarminda hai

:-Kumar Sandeep Patel

Monday, March 4, 2013

Kuch u Gujra thha bachpan mera

Dekhte Dekhte ye waqt nikalta gaya
bachpan ka suraj samay k sath dhhalta gaya
kitne hassen thhe wo school k pal, har ek dil ka sachha thha
sochta hu aaj ki jawani se wo bachpan achha tha
kuch u gujra tha bachpan mera..
Chanchal hawa si saam thi meri madmast jhhumta tha savera..
Kuch u gujra tha bachpan mera.

masti har pal har lamha kitna sukun thha
ladke ladkio me ek dusre se agey nikalne ka junun thha
blackboard pe filmo k shortname likhha karte thhe
badmashio me sabse agey bus chehre se masum dikha karte thhe
ladkhara k girna lazmi thha lekin har kadam pe mamta ka thha pehra
kuch u gujra thha bachpan mera
Chanchal hawa si saam thi meri madmast jhhumta tha savera..
Kuch u gujra tha bachpan mera.

wrapper k upar se toffi katna ek toffi ko do me batna
yaad hai wo exam k pehle ratti lagatey der raat tak jagna
pencil se likhhte aur scented pen se likhhne ki aas hoti thhi
na nahaney ki thhi tension n khhane ki jab maa pas hoti thhi
ramnagar sa kasbey ka friends academy school thha mera
ye wo jagah thhi jaha guzra thha bachpan mera
Chanchal hawa si saam thi meri madmast jhhumta tha savera..
Kuch u gujra tha bachpan mera.

wo khhubsurat lamhe samay ki kadwahat me ghhul gaye
kuch dost bus tasviro me aur kuch dost bankar bhhul gaye
kuch doctor kuch engineer kuch manager ban kar nikal gaye
dosti risto ka gathh nahi hota isliye hatho se hath fisal gaye
ludo, saap sidhi ka khel ab kaha in hatho me
sabdo me he inhe yaad kar lia waise kya rakha hai baton me
har ek dil ka sachha thha,kitna masoom thha chehra
kuch u gujra tha bachpan mera.
Chanchal hawa si saam thi meri madmast jhhumta tha savera..
Kuch u gujra tha bachpan mera.
:-Kumar Sandeep Patel

Thursday, February 14, 2013

Mohabbat ki masumiyat kho gaya


Ishq mohabbat sabdo ka bus jhhol ho gaya
Anmol Ehsaas pyar ka fizul ho gaya
Dil ki wo dhadkan nahi, pal pal ki tadpan nahi
Sarir Khhubsurat, pyar badsurat ho gaya hai
Dil fek ashiqi me mohabbat ki masumiyat kho gaya hai


Hath Pakad k chalna hatho ka fisalna ho gaya
milna najro se najro ka najro ka machalna ho gaya
kajal nayan, chandan badan make up van ho gaya
sarir khhubsurat, pyar badsurat ho gaya hai
Dil fek ashiqi me mohabbat ki masumiyat kho gaya hai


kasmey wadey pyar ki gungunana ho gaya
kahaniya heer ranjho ki gujra zamana ho gaya
mai tera tu mera kaun kiska kissa purana ho gaya
sarir khhubsurat, pyar badsurat ho gaya hai
Dil fek ashiqi me mohabbat ki masumiyat kho gaya hai


tu singal mai committed wo complicated ho gaya
facebook twitter sms email ka tashan ho gaya
kitabo me phool , galio ka chakkar outdated ho gaya
sarir khhubsurat, pyar badsurat ho gaya hai
Dil fek ashiqi me mohabbat ki masumiyat kho gaya hai

:-kumar sandeep patel

Sunday, January 6, 2013

It Wasn't Just a Rape!!!...Socho

India, duniya k nakse pe ek behad khubsurat aakriti. India jo duniya me sabse purani sabhhyta aur sanskriti hone ka daawa karta hai. India jo apne gauravsali itihas ki wajah se Hindustan, Aryavat aur Bharat k naam se v jana jata hai. Mai us Hindustan ki baat kar raha hu jo puri duniya me apne hazaro saal purani culture k liye jana jata hai.Mai us Hindustan ki baat kar raha hu jiska itihas yaha ishwar k honey ki gawahi dete hai. Besak ye wahi desh hai jisey kudrat ne badi khhubsurti se har rang roop se nawaja hai. Mujhe garv hai is baat par ki mai us desh me rahta hu jo besak duniya ka akela aisa desh hai jisey hum bharat mata kahte hai. Hum apne desh ko apni maa kahte hai , ha mujhe fakra hai apni is bharat maa pe jisne ek he maksad k liye gandhi aur bhagat singh jaise do alag soch wale amar insan ko hindustan k sirzami pe honey ka gaurav dia. Hum astha me jitey me hai . Ishwar , allah me hamara bohat viswas hai. Besak apne kisi khhas pe bhharosa bhale na ho lekin pathharo se bani ebadat k silalekho pe hamara pura viswas hota hai. Iswar k roop ko maa kahte hai aur aaj us maa ka har roop insaniyat ki ochhepan se andhkar me hai. Insaan ki galat soch ne usey haiwan bana dia hai. Bhharat mata ko iswar ne har sringar se nawaja hai . Hindustan me ho rahi sharmnaak haadse na sirf bhharat maa ko balki un deviyo ko v apmanit kar rahi hai jinki hum puja karte hai. Ye sirf kisi ek hadse ya ek stri ki nahi hai, inka sarokaar Hindustan ki us adhi aabadi se hai jisey hum jagjanni kahte hai.

"Har aangan me hai sannata, mitthi gunj thhami hui hai
Deviyo k desh me ho rahe hadso se har ladki sahmi hui hai
Baat sirf kursi aur kanun ka hota hai
Sach to ye hai ki ye hadse insaaniyat pe gehra sawal chhorta hai"

Kuch saal pahle ek film ayi thhi "ye mera india". Us film ki ek line thhi "Hindustan ko bhagwan chalatey hai. Besak ye line ek insan ki dimag ki upaj ho lekin ye sachhai se parey hargiz nahi hai. Sawal ye hai ki akhir in hadso ka zimmedar kaun hai. Sawal ye hai ki gauravsali hindustan me stri ka wajood kya hai, sawal ye hai ki duniya ko culture aur tradition sikhane wale bhharat me iske samman ki kami hai, Sawal ye v hai ki aaj ka samaj kya ladkio ko sirf aur sirf ek sambhog ki wastu matra samajhta hai aur apni ek jhhuthi prabhhuta dikhhane ki wahiyat kosisey karta hai. In sawalo ke hazaro jawab aaj kal tv ya social sites pe logo ke aa rahe hai. In sab k bich ek baat dawey ke sath keh sakta hu , aaj insaan insaan nahi haiwan ban chuka hai. uffffff... Na janey hamarey desh k in safedposh netao ki ankho ko kya ho gaya hai jo sadko pe utre logo ki ankho me us armaan ko nahi dekh pa rahey hai jo taktaki laga kar baithe huye ki ab unhe insaaf milega. Hamarey neta behrey ho gaye jo hawao me gunj rahe us kanoon ki mang ko nahi sun pa rahey jo ek bhharat ki ek awaz hai . Achha hota agar ye kuch achha bol patey, afsos mahamahim ke bete ko ye lagta hai ki ye koi ramp hai jaha log sajh dhaj ke walk karne aye hai. Besak ye mahoday jis v jagah se MP hai wo jagah bhagwan bhharosey chal raha hai. Apne 22 saal ki zindgi me maine aisa koi Fashion show nahi dekha jaha par laathhiya bhhaji ja rahi ho , kadakey ke thhand me zabaradast pani barsaye ja rahe ho. Agar Mr. Mukherji ne apne baap ke rutbey ka istemaal nahi kia ho to unhe sayad samvidhan ki jaankari zarur hogi jo Disco ya bar me janey ki anumati deta hai aur yahi samwidhan inhe apne haq k liye ladne ka bhi adhikar diya hai. Afsos, ye bhi us sukhey huye bagiche ka ek hissa hai jaha hariyali ki ummid bemani si lagti hai. Afsos hamarey PM , jo kabhi bolte he nahi hai aur jab bolte hai to usey pachaney k liye hajmola khhane ki zarurat pad jati hai. Hadse k 7din baad inhone bolna sirf zaruri samjha aur kya boley...gazabbb kya bole. " meri bhi 3 betiya hai , mai inke dard jo samajhta hu" . Mai janta hu apki sirf 3 betiya hai aur aap sirf hindustan k sirf in 3 ladkio ko he samajhte hai. Ye bhi ek afsos ki baat hai ki aaj samajh ka ek tabka ladkio ke pehnawey ko iska zimmedar manta hai. Agar aisa hai to mai nahi samajh pa raha ki Ravan ne Sita ko kidnap kyo kia, Agar aisa hai to mai ye nahi samajh pa raha ki Draupadi ka Chirharan kyo hua. Sayad mujhe utni samajh nahi hai, jitna mai samajh paya hu wo ye ki Ravan ek haiwan tha jisne sita ka apharan kia uske liye sita ke pehnawey me problem nahi thhi. Baat agar Draupadi ki hai to agar pandav me aurat k liyesamman hota to wo Draupadi ko kabhi daw pe nahi lagatey , Ek khel he to thha har man lete to Draupadi ko daw pe na lagana padta. Hamara dharam granth ye kehta hai ki ye sab krishn ki leela thi, agar aisa thha to mai nahi manta kyoki aaj chirharan karne waley dushasan to zarur hai lekin bachaney wala krishn kaha hai.

Besak hindustan ke har koney me aisi wardatey ho rahi hai . Delhi ki baat karey to yaha ki CM, Mayer dono ek mahila hai, aur smt soniya gandhi jo besak duniya ki sabse shaktisali mahilao me se ek hai. In sab ke din-raat bade chain se delhi me guzartey hai aur is delhi ka aaj aisa haal ho gaya hai aaj hindustan ki rajdhani me inke alawey har mahila ka din-raat ek khaufnak dar me gujarta hai.
Ye josh ye akrosh besak 16th december ko huye vasant vihar gangrape k baad dikh raha hai lekin bohat bohat sukriya anna g ka jinhone ek roshni dikhayi aur ab log sadko pe utarne lagey hai. Dil khhus hota hai ki aaj rotia pakaney wale hatho me kranti ke jhhandey bhi hai. Is zazbey ko mai salam karta hu. "Green & Clean Delhi" , maine ye slogan delhi me bohat jagah , har dusrey tisrey bus stop pe padhey hai. Besak sirf Delhi kya Pura desh Green & Clean ho gaya ho, lekin hamari soch gandi ho gayi hai aur isey saaf karne k liye koi detergent powder v nahi hai. Ek baat humey samajhne ki jarurat hai stri sirf ek stri nahi hoti wo risto ko janam deti hai, Kisi ki beti ban k , kisi ki patni ban k to kisi ki maa ban ke . Hamarey har tyohar inke wajood se hai. Maa ki mamta aur beti ka pyar inka astitva bacha rahey iske liye zarurat hai humey apne soch ko badalne ki.
Besak boht log meri baato se ittefaq nahi rakhte honge, lekin kahi na kahi in baato ka unki apni zindgi se sarokar jarur hai. Sayad vasant vihar gangrape jaise hadse nahi hotey agar aaropi ko achhe sanskar miley hotey. unki soch achhi hoti, naari k prati samman hota. Hum sab ko apne andar jhhakne ki zarurat hai. Sayad wo ladki aaj zinda hoti jisey road pe adhmara nanga dekh k log tamasbin na ban kar uspar kapda dal dete. sayad us ladki k sath itna bura na hota agar police apna kam imandari se kar rahi hoti. Sayad wo ladki bus me na jaati agar auto taxi waley sach me seva karne ke liye hotey. aise bohat sayad jaise sawal muh khhol k kahi na kahi humse sawal kar rahe hai , hamari insaniyat ko dhhatta dikha rahe hai jo us jagah ankhhe fad k bus dekh rahe thhe lekin kisi ki ankhe nam nahi hui ki wo is barbarta ki sikar ki madad k liye agey badha hota. ladki k dost ne thhik kaha ki mombatti jalane se kuch nahi hoga. Bilkul duniya me ujala zarur ho jaega lekin andhera to hamare man me hai, zarurat hai waha roshni jalane ki. Mujhe nahi pata sarkar kya karegi, mujhe nahi pata ye andolan kya karega , mujhe ye v nahi pata ki candle jalaney se kya hoga. Ye ab wo gandhi ka desh nahi raha jiske andolan ki awaz london tak jati thhhi aur angrez jhhuk gaye thhe. yaha to netao ne khhadi jarur apna lia lekin gandhi k aadarso se wo koso dur hai , tabhi to unke ghhar k bahar v awaz do to unke kano me ju tak nahi rengte. Ye mausami bhhikhhari hai 5 saal ka bhhikh ek baar mangte hai. Inse kisi v chiz ki ummid bemani hai. Dosto zarurat hai humey insaan banne ki, ek dusre ke dard ko samajhne ki. Kyoki hamari achhi soch aur ekta he is baat ki guarantee hai ki aise hadse dubara na ho.


"Bhhuley ko rasta dikhhane ki zarurat hai
Pyase ko pani pilane ki zarurat hai
zaruratmand k liye hath badhane ki zarurat hai
Hindustan mahan hai aur rahega
insaan hai, bus insaniyat apnaney ki zarurat hai" Jai Hind!! :- Kumar sandeep patel